Sunday, July 15, 2007

Jaise Mujh Ko Kabhi Jana Hi Nahi Tha...........

Dushman mere khusiyon ka zamana nahi tha,
Kisi ne bhi kabhi apna to jana nahi tha..

Kya karti akeli main saja kar koi mehfil,
Jab kisi ko ana hi nahi tha..

Dil ne to bohat chaha magar kis tarah jeeti,
Jeeney k liye koi bahana hi nahi tha..

Mud mud k dekhti rahi main umar bhar magar,
Koi aaya nahi,kyonki kisi ko to aana hi nahi tha..

Ek rasta bacha tha wo bhi loutne ka tha,
Jati main kahan koi thikana hi nahi tha..

Ab jhuk k mere lash ko jhinjhor rahe ho,
Jaise mujh ko kabhi jana hi nahi tha...........

No comments: